Devthan

Ekbar ek Jalandhar namak ek insan ne,jo ki Shankar ji ke krodh se sagar se utpann hua,nesocha ki Vishnu ji ki patni bhi sagar se prakat hui hain,
To kyu na unhe apni bain bna loon, aur
Vishnu k pas pahuch gaya.aur kahne laga, Sagar se utpann hone k karn hM dono bhaibahin huye,
Is rishte ko svikar kre aur mera aatithya svikaren.ye kahkar Vishnu ko apne sath le gaya.
Apna mehman banakar rakha.aur yuddh pr nikal gaya,kyunki vah Keval Vishnu ji ki akal se mara ja sakta tha,Uski patni pativrata thi.
Ab usko koi dar nhi tha.
Jalandhar k digvijai abhiyan se Devtayonaur sab lokon mei hahakar mach gaya.
Sbne Vishnu ji ko pukara,LXmiji ne kaha, bahut samai ho gaya, apne lok chalna chahiye.
Vishnu ji bahar aaye to hartaraf trahi trahi dekhi.
Devta daudkar Vishnu ji k pas gaye.aur bataya ki Jalandhar k karan ham sab trast hain,Uski patni patibrata h, isliye use mar nhi pa rahe hain. Aap uska satitv nasht karo, tabhi vo mara ja sakega aur samast sansar ki raksha ho sakegi.
Devtaon k kahne par,sansar k liye, Vishnu,
Jalandhar ka rup rakhkar ,
Uski patni Vranda k pas pahunche.
Usne apne pati rupi Vishnu k charansparsh kar liye.
Isse uska sateetv nasht ho gaya,
Jalandhar mara gaya,
Devta uska sar lekrharsh manane lage,
Vrinda ne apne pati ka kata sar dekhkar Vishnu ko patthar ho jane ka shrap diya.
Jab Laxmi tatha Devtaon ne ghabrakar Vrinda se shrap vapas lene ko kaha to,

Vrinda ne unhe shrap mukt kar diya,
aur apne pati Jalandhar ke sar ke sath sati ho gayi,Uski rakh mei ek Tulsi ka paudha nikla,jiske niche vishnu ne Shaligram ka ek roop liya, aur Kaha ki jo Tulsi k patte k sath mujhe prasad chadayega, vo mein svikar kar lunga.

Air ghar ghar  Tulsi ji ki Vishnu se Shadi k sath ,shadi shuru ho gayin.
-Reena

Bhai dooj(Dipawali)

Aaj padva k dusre din,Bahan ,Bhai ko Haldichune ka tika lagati h.
21/10/2017,
Aaj Kayasth (kaya ko sthan)apne purvaj ChitreGupt ji tatha kalam davat ki puja krte hain.Ye Vishnu ji k samast sansarik Praniyon ke aavagaman ka lekhajokha rakhte hain.

Chitrgupt Jo Maharaja k 12 beton k Nam Kulshreshtha ,Mathur,Srivastav,Nigam….hain.

Keval Kayasth he aaise hain, Jo Bhagvan k karya k liye  Brahman k bad uchit mane Gaye hain.

Kayasthon k hr Karya mei  pahle, GNesh Jo k sath, Chitrgupt Ji Maharaja KO bhi nimantrit krte hain.

Reena Kulshreshtha

Share it .